Jaise ke aap sabhi jante hai ki aajkal Facebook ka zamana hai. Aur asha hai ki aap yeh bhi jante hoge ke Facebook 2 tariko se manage ho sakta hai pehla hai Profile aur doosra hai Business Page.
Profile to sabhi ko banani aati hai. Lekin problem Facebook page banane me aati hai. Agar aap bhi bade brand ki tarah apna Facebook page banana chahte ho aur Facebook page banane ke tips search kar rahe ho to neche steps by steps tips ko follow kare:
Steps for Making Facebook Page
1. Facebook Create Page: Sabse pehle FB create page par visit kare https://www.facebook.com/pages/create jo ki neche di picture ke similar hoga.
2. Page Type: Vahan se apne Facebook page ka topic (type) choose kare. See above image.
3. Choose a Category: Apne business ki category choose kare.
4. Apka Company Name: Apne company ka name add kare. Jaise ke neche picture me maine 'My Business Page' (company name) add kiya hai. Aap company name ke ilawa koi aur category apne business ke hisab se choose kar sakte hai. Uske baad 'Get Started' pe click kare.
5. Page Ki Description: Apne business page ke bare mein likhe. Jaise ke Aap ka business kya provide karta hai. Aur agar aap ke pass apki website or blog ho to uska bhi website address bataye (Jis se aap ke page ki visibility search engines me badegi). Means aap ke page ki SEO achi hogi.
6. Page Ka URL: URL Facebook business page ke liye important hai. For example: Agar aap ko apna URL kisi ko batana hai to aap usko sidha bol sakte hai Fb.com/AapKaURL Jaise ke maine apne Facebook page ka URL yeh banaya hai Facebook.com/MyBusinessPageNew. Pehele check kare ke kaun sa Facebook URL aap ke liye available hai?
7. Facebook Profile Picture: Apne business ka profile picture upload kare. (Facebook profile picture ka size 180x180 pixels le)
8. Add To Favorites: Agar aap apne page ko 'Favorites' mein add karna chahte ho to 'Add To Favorites' pe click kare. Varna skip kare.
9. Preferred Page Audience: Apne page ki audience ke bare mein bataye. Jaise ke aap ko location, age, gender, interest aur languages add karna hoga. Is ke jariye Facebook aap ka page randomly is audience ke logo ko suggest karega. Jis se aap ko natural page likes milege. To audience aap apne business ke dhyan mein rakhte hue choose kare.
10. Save Kare: Save kare. Aap ka business page ready hai.
11. Cover Image Add Kare: Ek badia ce cover image design kare (size 851 pixels wide, 315 pixels) aur apne Facebook Page par add kare.
12. Add Your First Post: Apni first post add kare. Aap events or offers bhi add kar sakte hai, according your business requirements.
Apna Facebook URL apne friends aur relatives ke saath share kare.