Sunday, July 31, 2016

Gurpreet

Facebook Optimization Kaise Kare - Natural Likes Kaise Badhaye

Kya aap ek expert SMO Professional banna chahte ho aur Facebook Optimization tips aur natural likes banane ke tips search kar rahe ho? Aur apne Facebook page ko acha or high quality banana chahte ho? Jan pher apne client ke business page ko optimization karne ke liye SMO & Facebook optimization tips search kar rahe ho? To aap neche diye tips se ek badiya Facebook design kar sakte ho, jis se aap ke likes bhi increase ho ge.


Facebook Optimization & Getting Natural Likes Tips

Aap neche diye tips ko follow kar ke daily 1-2 post apne Facebook par add kare.

1. Creative & High Quality Images & Post: Aap apne Facbeook page ki timeline mein quality or achi post design aur add kare. Achi designer post user likes karte hai aur Facebook bhi aap ke business ko doosro ko natural ways se show kare ga. (Dhyan de Facebook ka post image ka standard size 404 px by 404 px hota hai)

2. Unique & High Quality Content: Apne post mein high quality content add kare. Facebook loves high quality content. To, acha or high quality content apni post mein add kare.

3. Company or Brand Ki News: Agar aap ka Fabeook page ek company or brand par hai to aap apne company or brand ki updated news apne page mein regular basis par add kare.

4. Create Awesome Quality Cover Images: Apne page mein quality cover images design aur kare. Month mein 2-3 vaar apni cover image change kare. Cover image mein apne business ka nichor (description) likhe. Ta ke user aap ke cover image se hi samaj jaye ke aap ka business page actual mein hai kya.

5. Deals or Offers: Agar aap ke pass koi deals or offers hai, to regular apne Facebook page mein deals or offers add kare. Jasie ke: Get 20% Discount on Your First Order. Iske liye aap 'Shop Now', 'Buy Now, 'Get Discount' etc. apne images mein add kare.

6. Hash # Tags: Facebook mein Twitter ki tarah # tags bahut important hai. Isliye apne content mein # tags use kare. Aap apne content mein # tags important keywords ki tarah use kar sakte hai. For example: #SEOTips, #BuyClothing, #PaiseKaiseKamaye, #AchaContent

7. Famous Quotes: Aap apni posts mein famous authors ki quotes add kar sakte hai. Designer images bana ke quotes add kare.

8. Tagging: Apne post ko aap tag bhi kar sakte hai. Apni post ke related persons ko tag kare.

9. Custom Tabs and Apps: Apne Facebook page mein custom apps and tabs create kare. Jaise ke: Shop Now, Contact Us, About Us, etc.

10. Famous Day & Festivals: Apne post mein famous day aur festivals add kare. Jaise ke rakhi or independence day. Is se aap ko natural like jyada mil ne ke chance hai.

11. Celebrities Birthday: Aap apne Facebook page mein celebrities ke birthday wishes ki bhi post add kar sakte hai.

12. Videao Banaye: Apne facebook page mein apne business ke related videos add kare.

13. Monthly Contest: User contest bahut likes karte hai. Agar aap koi contest chala sakte hai aur user ko prize provide kar skate hai, to Facebook page mein monthly contest add kare. Is se apke Facebook page mein bahut sara traffic boost hoga aur jis se aap ko bahut likes milege.

14. Question for Users: Aap koi aisi post bana sakte hai, jis se aap users se question puch sakte hai. Aap koi general knowledge ka question puch sakte hai. Or aap koi knowledgeable post bana sakte hai. Is se aap ki post ko likes milne aur comments milne ke chance hai. Kyu ki aaj ki date mein sabhi log knowledge lena chahte hai. Agar aap asisi post banaoge to users usko jyada se jyada share karege.

15. Like us button for Site or Blog: Agar aap ke pass apna blog or website hai, to apne blog or site mein Facebook like button zarror laga aye.

To agar aap above guidelines follow karte ho to dekhoge ki aap ke Facebook Likes natural tarike se increase hoge.

Yes, in sab tips ko follow kar ke aap natural likes increase kar sakte ho. Is ke ilawa aap apne business ke related 'Groups' or 'Communities' join kar aur apne facebook page aur achi post unme share kare. Isse bhi apke likes badhege.

Subscribe to this Blog via Email :