Wednesday, July 27, 2016

Gurpreet

Internet Ke 10000 Din Pure - Kya Aap Jante Ho?

10,000 Din Web Ke

Kya aap jante hai ki web ki starting 12th March 1989 ko hui thi? Aur 'Tim Berners-Lee' ne World Wide Web (WWW) ko start kiya tha. Aur aaj 28th July 2016 ko internet ke 10,000 din (27.39 saal) pure ho rahe hai.


Sach mein is 10,000 din mein internet ki duniya mein bahut kuch badla hai.

'Mozilla Firefox' is mahan din ko celebrate kar raha hai aur unka goal hai ki 10,000 log neche diye message ko share kare.

Good things come in 10,000s. Happy #10kDays to the Web.

Aap support kar sakte hai by Facebook, Twitter aur Tumblr. Visit kare https://www.thunderclap.it/projects/44954-10-000-days-of-the-web?locale=en poori jankari ke liye.

Aao hum bhi is message ko jyada se jyada share kare.

To, First Website Kaun Ce?


To is jankari ke saath maan mein sawal ata hai ki sabse pehli website kaun thi?

info.cern.ch pehla website addres tha aur pehla page tha http://info.cern.ch/hypertext/WWW/TheProject.html (jo aaj bhi chal raha hai)


Subscribe to this Blog via Email :