Saturday, July 30, 2016

Gurpreet

Website Aur Blog Ke Bina Paise Kaise Kamaye?

Jaise ke main aap ko pehle hi bata chuka hu ke aap apne blog aur Google se paise kaise kama sakte hai. Lekin sabhi log yeh jaan ne me bhi interest rakhte hai ki woh bina blog or site or even without any investment online paise kaise kama sakte hai? Aur kya is tarah online money kamana possible hai?


Yes, yeh bilkul possible hai. Aap bina blog or website se paise kama sakte hai.

To, Bina Blog Ke Paise Kaise Kamaye.

Main aap se ek aisi website share karne ja raha hu jo ke mere khayl se saal 2007 se online hai aur apne users ko online money kamane mein help kar rahi hai. Aur us website ka name hai www.indiastudychannel.com - Yeh ek genuine website hain aur aap bhi isko join kar ke online paise kama sakte hai.

Main India Study Channel Se Paise Kaise Kama Sakta Hu?

Jaise ke main aap ko pehle bhi explain kar chuka hu ke online paise kamana itna asan nahi aur aap ko hard work karna hoga isi tarah aap ko agar is website se paise kamane hai to aap ko bahut hard work karna hoga.

Is Website Ka Concept Kya Hai?

Is website ka concept hai ki aap apna koi bhi article is website me likh sakte hain. Please note right now this website is in English, to aap ke English ke articles hi accept hoge, to aap ko apni knowledge ke articles English mein likhne hoge.Yaad rakhe ke aap ache aur quality content articles hi likhe.

Agar aap students ho to aap apne college, schools, educational news, previous years question papers, or knowledgeable articles likh sakte hai. Aur yeh website aap ko ek saal ke liye Google Adsense revenue share karegi. Aap ke likhe hue articles par aap ke Google Adsense lagega aur yeh website ek saal ke liye aap ke articles ka 10% adsense revenue rakhegi aur aap ko 90% milega. Dhyan de ke ek saal baad yeh website apni ads aap ke likhe hue article mein use karegi. I think agar aap is website par regular rahege to aap ki ads apke articles par long time chal sakti hai.

Is Website Se Direct Adsense Apply Kare

Jab aap bahut sare articles likh lo to aap India Study Channel website se direct Google Adsense par apply kar sakte hai. Dhyan de ke aap valuable articles likhe tan ke aap ka Adsense jaldi approve ho jaye.

Google Ads Ke Ilawa ISC Se Kaise Paise Kama Sakte Hai?

In addition to Google Adsense, aap is website se har article likhne par cash paise aur points kama sakte hai. Even agar aap acha kam karoge to aap is website ke mentor aur editor tak bhi ban sakte ho par sharat wohi hai ki aap ek hard working person ho.

Aap India Study Channel Ke Other Payment Program Dekh Sakte Hai

1. Adsense Revenue Program - Google se paise kaise kamaye

2. Monthly revenue share program - India Study Channel apna profit (Maximum Rs. 10000/-) active members se share karta hai.

3. Quality Content Writing - Article likhe aur paise kamaye.

4. Ask Expert Section - Ask Expert section me answer de ke maximum Rs. 50 kamaye. (Ek answer ka Rs. 50/- not bad)

5. Admission News and Course Details - Admission news or course details add karne se extra paise kamaye

6. Kontera Revenue Sharing program - Yeh bhi Google Adsense ki tarah hai main isko explain karuga (Aap Google Adsense ki tarah apni website me Kontera ads laga sakte hai aur paise kama sakte hai.)

7. Infolinks Revenue Sharing program - Yeh bhi ek make money platform hai jis se aap apni website aur blog par ads laga ke paise kama sakte hai. Yeh website isko use karti hain aur apne users ko Infolinks se paise kamane ka mauka deti hai.

8. Add Old Question Papers - Apne old question papers add kare aur paise kamaye.

9. Monthly Contest - India Study Channel mein monthly article contest hote hai aur aap is se bhi paise kama sakte hai.

10. Refer a Friend - Aap apne friend ko refer kar ke maximum Rs. 500/- kama sakte hai.

11. Awards - Iske ilawa is website mein aur baht kuch hain jaise ke star of the week award, start of the month award, wizard of the month, etc.

Aur aap ko learn karne me bahut kuch milega. Baki details is link se pata kare http://www.indiastudychannel.com/forum/10313-Current-payment-programs.aspx

Main Kitne Paise Kama Saktu Hu?

Agar aap student ho to kam se kam apni pocket money to earn kar hi sakte hain lekin iske ilawa agar aap 2 to 3 hours is website par kaam karte hain to mere khyal se aap bhaut earn kar sakte hai

Aap is link se check kar sakta hai ki log kitne paise kama rahe hai http://www.indiastudychannel.com/credits/index.aspx?Display=Group

Kya Is website Ko Join Karne Ki Koi Fees Hai?

No. Bilkul Nahi.

Subscribe to this Blog via Email :