Friday, July 29, 2016

Gurpreet

Rakhi Par Sister Ko Kya Gift De? Raksha Bandhan Gift Ideas & Tips

Jaise ke aap sab jante hai ke is saal 'Raksha Bandhan' next month aa raha hai. Aur agar aap apni sister ki liye gift lene ki soch rahe aur samaj nahi pa rahe ke is saal rakhi par apni pyari behan ko kya gift du to aap jahan se rakhi ke gift ideas dekh sakte hai. Vaise to rakhi behan bhai ke pyar ka partik hai aur pyar se bada koi gift nahi par har bahi ka farz hai ki woh apni behan ko koi na koi gift jaroor de. Kyon ki behno ke liye yehi din hota hai jab woh apne bhai se hak se gift le sakti hai.


To, Aap Soch Rahe Hai Ki Behan Ko Kya Gift De? Rakhi Gift Ideas

Aap neche diye tips and ideas mein aur apni sister ki age ke hisab se gift de sakte hai. Kyon ki aap ko jyada pata hoga ki apki behan neche diye gifts mein jyada kya pasand karti hai.

1. Jewelry: Sabhi ladkiyan jewelry bahut like karti hai ho sakta hai ki aap ki behan bhi jewelry ko like karti ho to aap apni behan ko is rakhi par koi acha jewelry set gift de sakte hai. Jaise ki necklace set, earrings set aur bracelets set etc. Aur aaj kal to vaise bhi online shopping ka zamana hai to aap online order bhi kar sakte hai aur chances hai ki aap ko online shopping par discounts bhi mil jaye.

2. Clothes: Jaise ki aap jante hai ki ladkiyon ko clothes ka bahut shaunk hota hai. To aap decide kar sakte hai ki aap ki sister kya jyada wear karti hai jaise ke sarees, suits, tops & jeans etc. Iske liye bhi main recommend karugua ki aap online shop hi kare aap ko discount mil jayege online shopping par.

3. Handbags or Purses: Ladies loves purses, ek kahawat hai. To, kya aap ki sister bhi purses pasand karti hai? agar yes to koi stylish handbag or purse apni behan ke liye is rakhi par gift kare.

4. Wrist Watches: Girls watches bhi bhaut like karti hai. Aap apni behan ko koi achi ce watch gift kar sakte hai.

5. Mobile Phone Aur Tablet: Agar aap ki behan new mobile phone lene ka plan kar rahi thi aur aap ko iski knowledge hai to aap apni behan ko mobile phone ja tablet gift kar sakte hai. Apne budget ke according mobile or tablet choose kare. Aaj kal mobile phone online shopping par saste mil jate hai.

6. Cosmetics Products: Aap apni behan ke liye cosmetic products buy kar sakte hai. Jaise ke make up kit.

7. Books: Agar apki behan ko books parne ka shaunk hai to aap apni behan ke liye books kharid sakte hai. Agar aap books gift dena chate ho to main recommend karuga ke aap Amazon par books order kare. Vahan par apko sabhi categories ki books mil jayegi.

8. Dolls: Aap apni sister ko dolls bhi gift kar sakte hai.

9. Chocolates or Sweets: Agar apki behan ko chocolates khane ka shaunk hai to aap apni behan ke liye bahut sari chocolates gift kare. Market mein aap ko bahut achi packing ki chocolate mil jayegi.

10. Photo Frames: Photo frames jo ke ek common gift idea hai aap usko bhi choose kar sakte hai.

Agar aap ab bhi confuse hai gift choose karne mein to sabse saral tarika hai ki aap apni behan ko cash paise de de. Tan ki woh apne aap apni manpasand ki cheez kharid sake.

Subscribe to this Blog via Email :